Tag Archives: Yadi Prabhupada na hoita (Hindi Version)

Yadi Prabhupada na hote toh kya hota (Hindi version)


(1)
Yadi Prabhupada na hote toh kya hota,
yeh Jeevan behta kaise?

Nitai Gaura ki aseem karuna,
phailaate duniya mei kaise?

Phailaate duniya mei kaise?
Yadi Prabhupada na hote toh kya hota,
yeh Jeevan behta kaise?

(2)
Duniya mei kitne paapi durachari,
sunyavadi mayavadi

Un sab ka uddhaar karta kaun,
kaun hai aisa dayanadhi

Kaun hai aisa dayanidhi
Yadi Prabhupada na hote toh kya hota,
yeh Jeevan behta kaise?

(3)
Un logon tak jaata kaun aur kaun baant ta harinaam?
Sabhya jivan jiya jaaye kaise,
kaun deta yeh gyan?

Duniya ke har kone ab mei hoti hari vigrah ki sewa din raat,
Rath yatra jaise maha utsav karne humko sikhata kaun?
Humko sikhata kaun?
Yadi Prabhupada na hote toh kya hota,
yeh Jeevan behta kaise?

(4)
Bhagavaad Gita, Bhagavatam, Chaitanya Charita
mei hain amrit Krishna-naam

Kaun hai akhir jisne kiya samajhna isko aasaan?
Itne kasht sehkar bhi tha dil udaar jo baanta sabhi mei harinaam?
Kaun deta Puri vrindavan Mayapur jaise dhaam?
Mayapur jaise dhaam?
Yadi Prabhupada na hote toh kya hota,
yeh Jeevan behta kaise? 

(5)
Sri Chaitanya Mahaprabhu ki sikshaayein hai duniya ka dhan param
Is dhan ke achaar prachaar karne ka kisne kiya niyojan?
Nitai Gauranga hai premkalpa vriksha unse ik
Jayapataka ka hriday sada rahe aap ki sharan
Rahe aap ki sharan
Yadi Prabhupada na hote toh kya hota,
yeh Jeevan behta kaise?